• Skip to primary navigation
  • Skip to main content
  • Skip to primary sidebar
  • Friendship Shayari
  • Funny Shayari
  • Good Night Shayari
  • Good Morning Shayari
  • Birthday Shayari
  • Gulzar Shayari
  • Tareef Shayari

Shayarian

  • Home
  • Love Shayari
  • Sad Shayari
  • Attitude Shayari
  • Quotes
    • Love Quotes In Hindi
    • Life Quotes In Hindi
    • Motivational Quotes In Hindi
    • Personality Quotes In Hindi
    • Truth Of Life Quotes In Hindi
    • Spiritual Quotes In Hindi
    • Emotional Quotes In Hindi
  • Punjabi
    • Sad Status
    • Love Status
    • Sad Shayari
    • Romantic Shayari
  • Miss You Shayari
  • ALL SHAYARI
  • Dard Bhari Shayari

शायरी – Best Shayari In Hindi Of All Time

 

शायरी

 

By Mahtab Alam

Dil Bhi Toda To Saliqe Se Na Toda Tum Ne
Bewafai Ke Bhi Adab Hua Karte Hain

दिल भी तोड़ा तो सलीके से न तोड़ा तुम ने
बेवफाई के भी आदाब हुआ करते हैं

शायरी

शायरी


By Ajmal Siraj

Main Ne Ae Dil Tujhe Seene Se Lagaya Hua Hai
Aur Tu Hai Ki Meri Jaan Ko Aaya Hua Hai

मैं ने ऐ दिल तुझे सीने से लगाया हुआ है
और तू है की मेरी जान को आया हुआ है

शायरी

शायरी


By Hafeez Jalandhari

O Dil Tod Ke Jaane Vaale Dil Ki Baat Batata Ja
Ab Main Dil Ko Kya Samjhaun Mujh Ko Bhi Samjhata Ja

ओ दिल तोड़ के जाने वाले दिल की बात बताता जा
अब मैं दिल को क्या समझों मुझ को भी समझाता जा

शायरी

शायरी


By Altaf Hussain Hali

Dil Se Unka Khayal Bhulaya Na Jaega
Seene Mein Daagh Hai Ki Mitaya Na Jaega

दिल से उनका ख्याल भुलाया न जाएगा
सीने में दाग है कि मिटाया न जाएगा

शायरी

शायरी


By Khwaja Meer Dard

Main Jaata Hoon Dil Ko Tere Paas Chhode
Meri Yaad Tujh Ko Dilata Rahega

मैं जाता हूँ दिल को तेरे पास छोड़े
मेरी याद तुझ को दिलाता रहेगा

शायरी

शायरी


By Faiz Ahmad Faiz

Dil Na-Umeed To Nahin Nakam Hi To Hai
Lambi Hai Gham Ki Shaam Magar Shaam Hi To Hai

दिल न-उम्मीद तो नहीं नाकाम ही तो है
लम्बी है ग़म की शाम मगर शाम ही तो है

शायरी

शायरी


By Agah Dehlvi

Ek Safar Vo Hai Jis Mein
Paanv Nahin Dil Dukhta Hai

एक सफ़र वो है जिस में
पाँव नहीं दिल दुखता है

शायरी 13

शायरी 14


शायरी लव

By Faiz Ahmad Faiz

Aur Kya Dekhne Ko Baaqi Hai
Aap Se Dil Laga Ke Dekh Liya

और क्या देखने को बाक़ी है
आप से दिल लगा के देख लिया

शायरी लव

शायरी लव 1


Akhtar Shirani

Raat Bhar Un Ka Tasavvur Dil Ko Tadpata Raha
Ek Naqsha Samne Aata Raha Jaata Raha

रात भर उन का तसव्वुर दिल को तड़पता रहा
एक नक़्शा सामने आता रहा जाता रहा


Dagh Dehlvi

Tumhara Dil Mere Dil Ke Barabar Ho Nahin Sakta
Vo Shisha Ho Nahin Sakta Ye Patthar Ho Nahin Sakta

तुम्हारा दिल मेरे दिल के बराबर हो नहीं सकता
वो शिक्षा हो नहीं सकता ये पत्थर हो नहीं सकता


Jaun Eliya

Zindagi Kis Tarah Basar Hogi
Dil Nahin Lag Raha Mohabbat Mein

ज़िन्दगी किस तरह बसर होगी
दिल नहीं लग रहा मोहब्बत में


Jaleel Manikpuri

Aap Pahlu Mein Jo Baithen To Sambhal Kar Baithen
Dil-E-Betab Ko Aadat Hai Machal Jaane Ki

आप पहलू में जो बैठें तो सँभल कर बैठें
दिल-इ-बेताब को आदत है मचल जाने की


Jigar Moradabadi

Ham Ne Seene Se Lagaya Dil Na Apna Ban Saka
Muskura Kar Tum Ne Dekha Dil Tumhara Ho Gaya

हम ने सीने से लगाया दिल न अपना बन सका
मुस्कुरा कर तुम ने देखा दिल तुम्हारा हो गया


Bashir Badr

Har Dhadakte Patthar Ko Log Dil Samajhte Hain
Umren Beet Jaati Hain Dil Ko Dil Banane Mein

हर धड़कते पत्थर को लोग दिल समझते हैं
उम्रें बीत जाती हैं दिल को दिल बनाने में


Baqi Siddiqui

Tum Zamane Ki Raah Se Aaye
Varna Sidha Tha Rasta Dil Ka

तुम ज़माने की राह से आये
वरना सीधा था रास्ता दिल का


Jaun Eliya

Kaun Is Ghar Ki Dekh-Bhal Kare
Roz Ik Cheez Toot Jaati Hai

कौन इस घर की देख-भाल करे
रोज़ इक चीज़ टूट जाती है


Dagh Dehlvi

Dil De To Is Mizaj Ka Parvardigar De
Jo Ranj Ki Ghadi Bhi Khushi Se Guzar De

दिल दे तो इस मिज़ाज का परवरदिगार दे
जो रंज की घड़ी भी ख़ुशी से गुज़ार दे


Asar Akbarabadi

Hai Ajab Si Kashmakash Dil Mein
Kis Ko Bhulen Kis Ko Rakkhen Yaad Ham

है अजब सी कशमकश दिल में
किस को भूलें किस को रक्खें याद हम


Jaleel ‘Aali’

Dil Abad Kahan Rah Paaye Us Ki Yaad Bhula Dene Se
Kamra Viraan Ho Jaata Hai Ik Tasvir Hata Dene Se

दिल आबाद कहाँ रह पाये उस की याद भुला देने से
कमरा वीरान हो जाता है इक तस्वीर हटा देने से


Jaleel Manikpuri

Mohabbat Rang De Jaati Hai Jab Dil Dil Se Milta Hai
Magar Mushkil To Ye Hai Dil Badi Mushkil Se Milta Hai

मोहब्बत रंग दे जाती है जब दिल दिल से मिलता है
मगर मुश्किल तो ये है दिल बड़ी मुश्किल से मिलता है


Iftikhar Arif

Dil Pagal Hai Roz Nayi Nadani Karta Hai
Aag Mein Aag Milata Hai Phir Paani Karta Hai

दिल पागल है रोज़ नई नादानी करता है
आग में आग मिलाता है फिर पानी करता है


Mahtab Rai Taban

Dil Ke Phaphule Jal Uthe Seene Ke Daagh Se
Is Ghar Ko Aag Lag Gayi Ghar Ke Charagh Se

दिल के फफोले जल उठे सीने के दाग़ से
इस घर को आग लग गयी घर के चराग़ से


Nushur Wahidi

Diya Khamosh Hai Lekin Kisi Ka Dil To Jalta Hai
Chale Aao Jahan Tak Raushni Maalum Hoti Hai

दिया ख़ामोश है लेकिन किसी का दिल तो जलता है
चले आओ जहाँ तक रौशनी मालुम होती है


Abdul Hamid Adam

Dil Abhi Poori Tarah Toota Nahin
Doston Ki Mehrbani Chahiye

दिल अभी पूरी तरह टूटा नहीं
दोस्तों की मेहरबानी चाहिए


Bashir Badr

Ham To Kuchh Der Hans Bhi Lete Hain
Dil Hamesha Udaas Rahta Hai

हम तो कुछ देर हँस भी लेते हैं
दिल हमेशा उदास रहता है


Aziz Warsi

Dil Mein Ab Kuchh Bhi Nahin Un Ki Mohabbat Ke Siva
Sab Fasane Hain Haqiqat Mein Haqiqat Ke Siva

दिल में अब कुछ भी नहीं उन की मोहब्बत के सिवा
सब फ़साने हैं हक़ीक़त में हक़ीक़त के शिव


Ahmad Faraz

Dil Bhi Pagal Hai Ki Us Shakhs Se Vabasta Hai
Jo Kisi Aur Ka Hone De Na Apna Rakkhe

दिल भी पागल है की उस शख़्स से वाबस्ता है
जो किसी और का होने दे ना अपना रक्खे


Ameer Minai

Ulfat Mein Barabar Hai Wafaa Ho Ki Jafaa Ho
Har Baat Mein Lazzat Hai Agar Dil Mein Maza Ho

उल्फ़त में बराबर है वफ़ा हो कि जफ़ा हो
हर बात में लज़्ज़त है अगर दिल में मज़ा हो


Jaun Eliya

Dil Ki Taklif Kam Nahin Karte
Ab Koi Shikva Ham Nahin Karte

दिल की तकलीफ कम नहीं करते
अब कोई शिकवा हम नहीं करते


Faiz Ahmad Faiz

Aap Ki Yaad Aati Rahi Raat Bhar
Chandni Dil Dukhati Rahi Raat Bhar

आप की याद आती रही रात भर
चाँदनी दिल दुखाती रही रात भर


Firaq Gorakhpuri

Main Hoon Dil Hai Tanhai Hai
Tum Bhi Hote Achchha Hota

मैं हूँ दिल है तन्हाई है
तुम भी होते अच्छा होता


Allama Iqbal

Duniya Ki Mahfilon Se Ukta Gaya Hoon Ya Rab
Kya Lutf Anjuman Ka Jab Dil Hi Bujh Gaya Ho

दुनिया की महफ़िलों से उकता गया हूँ या रब
क्या लुत्फ़ अंजुमन का जब दिल ही बुझ गया हो


Faiz Ahmad Faiz

Janta Hai Ki Vo Na Ayenge
Phir Bhi Masroof-E-Intezar Hai Dil

जानता है की वो न आएंगे
फिर भी मसरूफ-इ-इंतज़ार है दिल


Firaq Gorakhpuri

Shaam Bhi Thi Dhuan Dhuan Husn Bhi Tha Udaas Udaas
Dil Ko Kayi Kahaniyan Yaad Si Aa Ke Rah Gayi

शाम भी थी धुआं धुआं हुस्न भी था उदास उदास
दिल को कई कहानियां याद सी ा के रह गयी


Sahir Ludhianvi

Aap Daulat Ke Tarazu Mein Dilon Ko Taulen
Ham Mohabbat Se Mohabbat Ka Sila Dete Hain

आप दौलत के तराज़ू में दिलों को तौलें
हम मोहब्बत से मोहब्बत का सिला देते हैं

Faiz Ahmad Faiz

Kab Thahrega Dard Ai Dil Kab Raat Basar Hogi
Sunte The Vo A.Enge Sunte The Sahar Hogi

कब ठहरेगा दर्द ए दिल कब रात बसर होगी
सुनते थे वो आएंगे सुनते, थे सहर होगी


Bashir Badr

Bhool Shayad Bahut Badi Kar Li
Dil Ne Duniya Se Dosti Kar Li

भूल शायद बहुत बड़ी कर ली
दिल ने दुनिया से दोस्ती कर ली


Shakeel Badayuni

Jaane Vaale Se Mulaqat Na Hone Paayi
Dil Ki Dil Mein Hi Rahi Baat Na Hone Paayi

जाने वाले से मुलाक़ात न होने पायी
दिल की दिल में ही रही बात न होने पायी


Bashir Badr

Abhi Raah Mein Kayi Mod Hain Koi Aayega Koi Jayega
Tumhen Jis Ne Dil Se Bhula Diya Use Bhulne Ki Dua Karo

अभी राह में कई मोड़ हैं कोई आएगा कोई जायेगा
तुम्हें जिस ने दिल से भुला दिया उसे भूलने की दुआ करो


Allama Iqbal

Faqat Nigah Se Hota Hai Faisla Dil Ka
Na Ho Nigah Mein Shokhi To Dilbari Kya Hai

फ़क़त निगाह से होता है फैसला दिल का
न हो निगाह में शोखी तो दिलबरी क्या है


Arshad Ali Khan Qalaq

Ada Se Dekh Lo Jaata Rahe Gila Dil Ka
Bas Ik Nigah Pe Thahra Hai Faisla Dil Ka

अदा से देख लो जाता रहे गिला दिल का
बस इक निगाह पे ठहरा है फैसला दिल का


Bahadur Shah Zafar

Kah Do In Hasraton Se Kahin Aur Ja Basen
Itni Jagah Kahan Hai Dil-E-Daghdaar Mein

कह दो इन हसरतों से कहीं और जा बसें
इतनी जगह कहाँ है दिल-इ-दाग़दार में


Mirza Ghalib

Meri Qismat Mein Gham Gar Itna Tha
Dil Bhi Ya-Rab Kayi Diye Hote

मेरी किस्मत में ग़म गर इतना था
दिल भी या-रब कई दिए हो


Shakeel Badayuni

Unhen Apne Dil Ki Khabren Mere Dil Se Mil Rahi Hain
Main Jo Un Se Rooth Jaon To Payam Tak Na Pahunche

उन्हें अपने दिल की ख़बरें मेरे दिल से मिल रही हैं
मैं जो उन से रूठ जाऊँ तो पयाम तक न पहुंचे


Nida Fazli

Dil Mein Na Ho Jurat To Mohabbat Nahin Milti
Khairat Mein Itni Badi Daulat Nahin Milti

दिल में न हो जुर्रत तो मोहब्बत नहीं मिलती
खैरात में इतनी बड़ी दौलत नहीं मिलती


Gulzar

Dil Par Dastak Dene Kaun Aa Nikla Hai
Kis Ki Aahat Sunta Hoon Virane Mein

दिल पर दस्तक देने कौन आ निकला है
किस की आहट सुनता हूँ वीराने में


Jigar Moradabadi

Aghaz-E-Mohabbat Ka Anjam Bas Itna Hai
Jab Dil Mein Tamanna Thi Ab Dil Hi Tamanna Hai

आग़ाज़-ए-मोहब्बत का अंजाम बस इतना है
जब दिल में तमन्ना थी अब दिल ही तमन्ना है


Hasrat Mohani

Aarzu Teri Barqarar Rahe
Dil Ka Kya Hai Raha Raha, Na Raha Na Rahe

आरज़ू तेरी बरक़रार रहे
दिल का क्या है रहे, रहे, न रहे न रहे


Jalal Lakhnavi

Ishq Ki Chot Ka Kuchh Dil Pe Asar Ho To Sahi
Dard Kam Ho Ya Ziyada Ho Magar Ho To Sahi

इश्क की चोट का कुछ दिल पे असर हो तो सही
दर्द कम हो या ज़ियादा हो मगर हो तो सही


Ali Sardar Jafri

Kaam Ab Koi Na Aayega Bas Ik Dil Ke Siva
Raste Band Hain Sab Kucha-E-Qatil Ke Siva

काम अब कोई न आएगा बस इक दिल के सिवा
रास्ते बंद हैं सब कुछा-इ-क़ातिल के शिव


Qateel Shifai

Dil Pe Aaye Hue Ilzam Se Pahchante Hain
Log Ab Mujh Ko Tere Naam Se Pahchante Hain

दिल पे आये हुए इल्जाम से पहचानते हैं


Bashir Badr

Dil Ki Basti Purani Dilli Hai
Jo Bhi Guzra Hai Us Ne Loota Hai

दिल की बस्ती पुरानी दिल्ली है
जो भी गुज़रा है उस ने लूटा है


Manzar Lakhnavi

Dard Ho Dil Mein To Dava Keeje
Aur Jo Dil Hi Na Ho To Kya Keeje

दर्द हो दिल में तो दवा कीजे
और जब दिल ही न हो तो क्या कीज


Jigar Moradabadi

Aadmi Aadmi Se Milta Hai
Dil Magar Kam Kisi Se Milta Hai

आदमी आदमी से मिलता है
दिल मगर कम किसी से मिलता है


Dagh Dehlvi

Jin Ko Apni Khabar Nahin Ab Tak
Vo Mere Dil Ka Raaz Kya Janen

जिन को अपनी खबर नहीं अब तक
वो मेरे दिल का राज़ क्या जानें


Aasi Ghazipuri

Dard-E-Dil Kitna Pasand Aaya Use
Main Ne Jab Ki Aah Us Ne Vaah Ki

दर्द-ए-दिल कितना पसंद आया उसे
मैं ने जब की आह उस ने वाह की


Azad Ansari

Ham Ko Na Mil Saka To Faqat Ik Sukun-E-Dil
Ai Zindagi Vagarna Zamane Mein Kya Na Tha

हम को न मिल सका तो फकत इक सुकून-ए-दिल
ऐ ज़िन्दगी वगरना ज़माने में क्या न था


Aish Dehlvi

Seene Mein Ik Khatak Si Hai Aur Bas
Ham Nahin Jante Ki Kya Hai Dil

सीने में इक खटक सी है और बस
हम नहीं जानते कि क्या है दिल


Bilqis Zafirul Hasan

Anhoni Kuchh Zarur Hui Dil Ke Saath Aaj
Nadan Tha Magar Ye Divana Kabhi Na Tha

अनहोनी कुछ ज़रूर हुई दिल के साथ आज
नादाँ था मगर ये दीवाना कभी न था


Gulzar

Zakhm Kahte Hain Dil Ka Gahna Hai
Dard Dil Ka Libas Hota Hai

ज़ख्म कहते हैं दिल का गहना है
दर्द दिल का लिबास होता है


Haidar Ali Aatish

Bada Shor Sunte The Pahlu Mein Dil Ka
Jo Chira To Ik Qatra Khoon Na Nikla

बड़ा शोर सुनते थे पहलू में दिल का
जो चीरा तो इक कतरा खून न निकले


Firaq Gorakhpuri

Tujh Ko Pa Kar Bhi Na Kam Ho Saki Betabi Dil Ki
Itna Asan Tere Ishq Ka Gham Tha Hi Nahin

तुझ को प् कर भी न कम हो सकी बेताबी दिल की
इतना आसान तेरे इश्क़ का ग़म था ही नहीं


Muneer Niyazi

Muddat Ke Baad Aaj Use Dekh Kar
Ik Baar Dil To Dhadka Magar Phir Sambhal Gaya

मुद्दत के बाद आज उसे देख कर
इक बार दिल तो धड़का मगर फिर संभल गया


Arzoo Lakhnavi

Jo Dil Rakhte Hain Seene Mein Vo Kafir Ho Nahin Sakte
Mohabbat Deen Hoti Hai Vafa Iman Hoti Hai

जो दिल रखते हैं सीने में वो काफ़िर हो नहीं सकते
मोहब्बत दीं होती है वफ़ा इमां होती है


Akbar Allahabadi

Mohabbat Ka Tum Se Asar Kya Kahun
Nazar Mil Gayi Dil Dhadakne Laga

मोहब्बत का तुम से असर क्या कहूँ
नज़र मिल गयी दिल धड़कने लगा


Irfan Siddiqi

Hoshiyari Dil-E-Nadan Bahut Karta Hai
Ranj Kam Sahta Hai Elaan Bahut Karta Hai

होशियारी दिल-ए-नादान बहुत करता है
रंज कम सहता है एलान बहुत करता है


Rajendera Krishan

Na Jhatko Zulf Se Paani Ye Moti Toot Jaenge
Tumhara Kuchh Na Bigdega Magar Dil Toot Jaenge

ना झटको जुल्फ से पानी ये मोती टूट जाएंगे
तुम्हारा कुछ ना बिगड़ेगा मगर दिल टूट जाएंगे


Sahir Ludhianvi

Yunhi Dil Ne Chaha Tha Rona Rulana
Teri Yaad To Ban Gai Ik Bahana

यूँही दिल ने चाहा था रोना रुलाना
तेरी याद तो बन गई इक बहाना


Wazir Ali Saba Lakhnavi

Dil Mein Ik Dard Utha Ankhon Mein Aansu Bhar Aaye
Baithe Baithe Hamein Kya Janiye Kya Yaad Aaya

दिल में इक दर्द उठा आँखों में आँसू भर आये
बैठे बैठे हमें क्या जानिए क्या याद आया


Iqbal Safi Puri

Mere Labon Ka Tabassum To Sab Ne Dekh Liya
Jo Dil Pe Beet Rahi Hai Vo Koi Kya Jaane

मेरे लबों का तबस्सुम तो सब ने देख लिया
जो दिल पे बीत रही है वो कोई क्या जाने


Bekhud Dehlvi

Dil Mohabbat Se Bhar Gaya Hai
Ab Kisi Par Fida Nahin Hota

दिल मोहब्बत से भर गया है
अब किसी पर फ़िदा नहीं होता


Mohammad Alvi

Kuchh To Is Dil Ko Saza Di Jaaye
Us Ki Tasvir Hata Di Jaaye

कुछ तो इस दिल को सजा दी जाए
उस की तस्वीर हटा दी जाए


Dagh Dehlvi

Dil Le Ke Muft Kahte Hain Kuchh Kaam Ka Nahin
Ulti Shikayaten Hui Ehsan To Gaya

दिल ले के मुफ्त कहते हैं कुछ काम का नहीं
उलटी शिकायतें हुई एहसान तो गया


Jaleel Manikpuri

Hoti Kahan Hai Dil Se Juda Dil Ki Aarzu
Jaata Kahan Hai Shama Ko Parvana Chhod Kar

होती कहाँ है दिल से जुदा दिल की आरज़ू
जाता कहाँ है शमा को परवाना छोड़ कर


Andaleeb Shadani

Dil Par Chot Padi Hai Tab To Aah Labon Tak Aayi Hai
Yoon Hi Chhan Se Bol Uthna To Shishe Ka Dastur Nahin

दिल पर चोट पड़ी है तब तो आह लबों तक आयी है
यूँ ही छण से बोल उठना तो शीशे का दस्तूर नहीं


Bekhud Dehlvi

Dil To Lete Ho Magar Ye Bhi Rahe Yaad Tumhen
Jo Hamara Na Hua Kab Vo Tumhara Hoga

दिल तो देते हो मगर ये भी रहे याद तुम्हें
जो हमारा ना हुआ कब वो तुम्हारा होगा


Bahadur Shah Zafar

Na Dunga Dil Use Main Ye Hamesha Kahta Tha
Vo Aaj Le Hi Gaya Aur ‘Mujhse Se Kuchh Na Hua

न दूंगा दिल उसे मैं ये हमेशा कहता था
वो आज ले ही गया और ‘मुझसे से कुछ न हुआ


Hafeez Jalandhari

Dil Ko Khuda Ki Yaad Tale Bhi Daba Chuka
Kambakht Phir Bhi Chain Na Paaye To Kya Karun

दिल को खुदा की याद ठाले भी दबा चुका
कमबख्त फिर भी चैन न पाये तो क्या करूँ


Jigar Moradabadi

Dard Or Gham Dil Ki Tabiat Ban Gaye
Ab Yahan Aram Hi Aram Hai

दर्द और ग़म दिल की तबीअत बन गए
अब यहाँ आराम ही आराम है


Jaleel Manikpuri

Dekh Lete Jo Mere Dil Ki Pareshani Ko
Aap Baithe Hue Zulfen Na Sanvara Karte

देख लेते जो मेरे दिल की परेशानी को
आप बैठे हुए ज़ुल्फ़ें न संवारा करते


Chiragh Hasan Hasrat

Ik Ishq Ka Gham Aafat Aur Us Pe Ye Dil Aafat
Ya Gham Na Diya Hota Ya Dil Na Diya Hota

इक इश्क़ का ग़म आफ़त और उस पे ये दिल आफ़त
या ग़म न दिया होता या दिल न दिया होता


Ahmad Faraz

Ji Mein Jo Aati Hai Kar Guzro Kahin Aisa Na Ho
Kal Pasheman Hon Ki Kyoon Dil Ka Kaha Maana Nahin

जी में जो आती है कर गुज़रो कहीं ऐसा न हो
कल पशेमान होण की क्यूँ दिल का कहा माना नहीं


Jigar Moradabadi

Kuchh Khatakta To Hai Pahlu Mein Mere Rah Rah Kar
Ab Khuda Jaane Teri Yaad Hai Ya Dil Mera

कुछ खटकता तो है पहलू में मेरे रह रह कर
अब खुदा जाने तेरी याद है या दिल मेरा


Hafeez Hoshiarpuri

Dil Se Aati Hai Baat Lab Pe
Baat Dil Mein Kahan Se Aati Hai

दिल से आती है बात लब पे
बात दिल में कहाँ से आती है


Bahadur Shah Zafar

Tu Kahin Ho Dil-E-Divana Vahan Pahunchega
Shama Hogi Jahan Parvana Vahan Pahunchega


Faiz Ahmad Faiz
Tez Hai Aaj Dard-E-Dil Saaqi
Talkhi-E-Mai Ko Tez-Tar Kar De


Hafeez Merathi
Shisha Toote Ghul Mach Jaaye 
Dil Toote Avaz Na Aaye


Anwar Masood

Dil Sulagta Hai Tere Sard Ravayye Se Mera
Dekh Ab Barf Ne Kya Aag Laga Rakkhi Hai

दिल सुलगता है तेरे सर्द रवैये से मेरा
देख अब बर्फ ने क्या आग लगा रखी है


Khumar Barabankavi

Raushni Ke Liye Dil Jalana Pada
Kaisa Zulm Badha Tere Jaane Ke Baad

रौशनी के लिए दिल जलाना पड़ा
कैसा ज़ुल्म बढ़े तेरे जाने के बाद


Shaikh Zahuruddin Hatim

Itna Maine Intizar Kiya Us Ki Raah Mein
Jo Rafta Rafta Dil Mera Bimar Ho Gaya

इतना मैंने इंतजार किया उस की राह में
जो रफ्ता रफ्ता दिल मेरा बीमार हो गया


Parveen Shakir

Na Jaane Kaun Sa Aaseb Dil Mein Basta Hai
Ki Jo Bhi Thahra Vo Akhir Makan Chhod Gaya

न जाने कौन सा आसेब दिल में बसता है
कि जो भी ठहरा वो आखिर मकान छोड़ गया


Jalal Manikpuri

Aaj Tak Dil Ki Aarzu Hai Vahi
Phool Murjha Gaya Hai Khushbu Hai Vahi

आज तक दिल की आरज़ू है वही
फूल मुरझा गया है खुशबु है वही


Shakeel Badayuni

Dil Ki Taraf Tavajjoh Zarur Ho
Ye Ghar Ujad Gaya To Basaya Na Jaega

दिल की तरफ तवज्जोह ज़रूर है
ये घर उजड़ गया तो बसाया न जाएगा


Fani Badayuni

Abadi Bhi Dekhi Hai Virane Bhi Dekhe Hain
Jo Ujde Aur Phir Na Base Dil Vo Nirali Basti Hai

आबादी भी देखि है विराने भी देखे हैं
जो उजड़े और फिर न बेस दिल वो निराली बस्ती है


Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida

Charcha Hamara Ishq Ne Kyoon Ja-Ba-Ja Kiya
Dil Us Ko De Diya To Bhala Kya Bura Kiya

चर्चा हमारा इश्क़ ने क्यूँ जा-बा-जा किया
दिल उस को दे दिया तो भला क्या बुरा किया


Anjum Rumani

Dil Se Uthta Hai Subah Sham Dhuan
Koi Rahta Hai Is Makan Mein Abhi

दिल से उठता है सुबह शाम धुआं
कोई रहता है इस मकान में अभी


Fatima Hasan

Sukun-E-Dil Ke Liye Ishq To Bahana Tha
Vagarna Thak Ke Kahin To Thahar Hi Jaana Tha

सुकून-इ-दिल के लिए इश्क़ तो बहाना था
वगरना तक के कहीं तो ठहर ही जाना था


Zeb Ghauri

Dil Hai Ki Teri Yaad Se Khali Nahin Rahta
Shayad Hi Kabhi Main Ne Tujhe Yaad Kiya Ho

दिल है की तेरी याद से ख़ाली नहीं रहता
शायद ही कभी मैं ने तुझे याद किया हो


Arzoo Lakhnavi

Dil Ki Zid Is Liye Rakh Li Thi Ki Aa Jaaye Qarar
Kal Ye Kuchh Aur Kahega Mujhe Maalum Na Tha

दिल की ज़िद इस लिए रख ली थी की आ जाए क़रार
कल ये कुछ और कहेगा मुझे मालूम न था


Ameer Minai

Navak-E-Naz Se Mushkil Hai Bachana Dil Ka
Dard Uth Uth Ke Batata Hai Thikana Dil Ka


Mohammad Ali Khan Rashki

Dard-E-Dil Kya Bayan Karun
Us Ko Kab Eitibar Aata Hai

दर्द ए दिल क्या बयान करूं
उसको कब ऐतबार आता है


Idris Babar

Haath Duniya Ka Bhi Hai Dil Ki Kharabi Mein Bahut
Phir Bhi Ae Dost Teri Ek Nazar Se Kam Hai

हाथ दुनिया का भी है दिल की खराबी में बहुत
फिर भी ऐ दोस्त तेरी एक नज़र से कम है


Bashir Badr

Phool Barse Kahin Shabnam Kahin Gauhar Barse
Aur Is Dil Ki Taraf Barse To Patthar Barse

फूल बरसे कहीं शबनम कहीं गौहर बरसे
और इस दिल की तरफ बरसे तो पत्थर बरसे


Shakeel Badayuni

Badalti Ja Rahi Hai Dil Ki Duniya
Naye Dastur Hote Ja Rahe Hain

बदलती जा रही है दिल की दुनिया
नए दस्तूर होते जा रहे हैं


Qamar Jalalvi

Kisi Se Bhi Dil Ka Ilaaj Ho Na Saka
Ham Apna Daagh Dikhate Rahe Zamane Ko

किसी से भी दिल का इलाज हो न सका
हम अपना दाग़ दिखाते रहे ज़माने को


Azad Gulati

Yadon Ki Mahfil Mein Kho Kar
Dil Apna Tanha Tanha Hai

यादों की महफ़िल में खो कर
दिल अपना तनहा तनहा है


Abdul Majeed Salik

Tujhe Kuchh Ishq Or Ulfat Ke Siva Bhi Yaad Hai Ai Dil
Sunaye Ja Raha Hai Ek Hi Afsana Barson Se

तुझे कुछ इश्क़ और उल्फ़त के सिवा भी याद है ऐ दिल
सुनाये जा रहा है एक ही अफ़साना बरसों से


Shakeel Badayuni

Un Ka Zikr Un Ki Tamanna Un Ki Yaad
Vaqt Kitna Qimti Hai Aaj Kal


Arzoo Lakhnavi

Vafa Tum Se Karenge Dukh Sahenge Naaz Utha.Enge
Jise Aata Hai Dil Dena Use Har Kaam Aata Hai


 

Related Posts:

  • हिंदी शायरी | हिंदी शायरी लिखा हुआ | हिंदी शायरी दो लाइन | 2021हिंदी शायरी | हिंदी शायरी लिखा हुआ | हिंदी शायरी दो…
  • Best Miss You Shayari Of All TimeBest Miss You Shayari Of All Time
  • Brother Shayari | Bhai Status  | Brother Quotes In Hindi | भाई पर शायरीBrother Shayari | Bhai Status | Brother Quotes In…
  • Attitude Shayari - एटीट्यूड शायरी हिंदी में | Attitude Shayari For Boys In Hindi | 300+ अकड़ Shayari in Hindi | 2021Attitude Shayari - एटीट्यूड शायरी हिंदी में |…
  • Top 150+ Chand Shayari | Chand Shayari in Hindi | ढेरों चाँद पर शायरी हिंदी मेंTop 150+ Chand Shayari | Chand Shayari in Hindi |…
  • 2 Line Shayari - दो लाइन शायरी | Two Line Shayari In Hindi2 Line Shayari - दो लाइन शायरी | Two Line Shayari In Hindi

Primary Sidebar

Hindi

  • 2 Line Shayari
  • Aankhen Shayari
  • Achi Shayari
  • Attitude Shayari
  • Barish Shayari
  • Badmashi Status
  • Beti Shayari & Beti Status
  • Beautiful Love Shayari
  • Bhai Birthday Status
  • Birthday Wishes For Husband
  • Birthday Wishes For Brother
  • Birthday Wishes For Sister
  • Birthday Shayari
  • Birthday Wishes In Marathi
  • Breakup Shayari
  • Brother Shayari
  • Chand Shayari
  • Cheating Quotes
  • Dard-Bhari Shayari
  • Dhoka Shayari
  • Dil Love Shayari
  • English Love Shayari
  • Friends Forever Shayari
  • Girls Attitude Status
  • Good Morning Shayari
  • Good Night Shayari
  • Gulzar Shayari
  • Kadak Attitude Status
  • Khatarnak Attitude Status
  • Love Shayari
  • Love Shayari For Girlfriend
  • Maa Shayari
  • Matlabi Shayari
  • Miss You Shayari
  • Motivational Quotes In Hindi
  • Motivational Shayari
  • Nawabi Attitude Status
  • Patel Status
  • Rajputana Status
  • Romantic Shayari
  • Sad Love Shayari
  • Sad Shayari
  • Shayari Dp
  • Tareef Shayari
  • Truth Of Life Quotes In Hindi
  • Tuta Dil Shayari
  • True Love Shayari
  • Trust Shayari
  • Zakhmi Dil Shayari

Punjabi

  • Love Status In Punjabi
  • Sad Shayari In Punjabi
  • Romantic Shayari In Punjabi
  • Punjabi Sad Status 

हिंदी शायरी स्टेटस

  • शायरी
  • हिंदी शायरी

More Shayari

love shayari
sad shayari
miss you status
attitude shayari
dard bhari shayari
gulzar shayari
romantic shayari
birthday shayari
Love Status In Punjabi
good night shayari
good morning shayari
friendship shayari
Truth Of Life Quotes In Hindi
shayari on eyes
Sad Shayari In Punjabi Sidebar
beautiful hindi love shayari
love sad shayari
dil love shayari
tareef shayari
2 Line Shayari
barish Shayari
motivational Shayari
girls status
Motivational Quotes In Hindi-sidebar
trust shayari
cheat Shayari
dhoka shayari
breakup Shayari
dil tuta Shayari
matlabi Shayari
zakhmi dil Shayari
beti Shayari
achi shayari
friends forever shayari
khatarnak status
brpther status
badmashi Shayari
bhai birthday status
Nawabi Attitude status
kadak status shayari
birthday wishes for brother in hindi
birthday wishes for sister in hindi
birthday wishes for husband in hindi
rajput Status in hindi
patel Status
chand shayari

Copyright © 2021 · News Pro on Genesis Framework · WordPress · Log in